18.9 C
Pakistan
Monday, October 14, 2024

Mere Ghar Mola Aey Hain Lyrics Noha by Farhan Ali Waris 2024

Must read

Farhan Ali Waris New Noha “Mere Ghar Mola Aye Hain” Mery Ghar Maula Ae”

Mere Ghar Maula Aey Hain Lyrics

Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a)

Azaa Ka Chand Jab Deikha

Galli Galli Main Kalay Parchan Atay Hain Nazar

Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a)

Log Azadari Ko Nikly Hain Shehraon Par

Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a)

Galli Galli Main Kalay Parcham Aty Hain Nazar

Log Azadari Ko Nikly Hain Shehraon Par

Falak Se Jis Ki Sawari Ai Alam Sajay Ghar Ghar

Hussain (a.s)

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Banai Sheh Nasheen Ghar Main Nishan e Gham Sajaya Hai

Siyah Parday Lagaye Hain Zamane Ko Bataya Hai

Samjh Leta Ke Ye Dunya

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Mere Ghar Aaj Majlis Hai

Zameen Walo Falak Walo

Agr Shoq e Ziyarat Hai

Sheh e Deen Ke Azadaro

Ziyarat Ko Chale Ana

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a) Hussain (a)

Mah e Azaa Hai Kalay Parchan Lao

Ghar Pe Jarri Ka Alam Lehrao

Guzray Jahan Se Jaloos Azaa Ka

Rahon Main Uss Ke Sabeel’n Lagao

Banto Tabarruk Nazr Dilao

Bachon Ko Apne Saqqa Banao

Ghar Ghar Main Farsh Azaa Ka Bichao

Karo Ailaan Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Muharram Jab Nahi Hota

To Yeh Manzar Nahi Hota

Bapa Majlis Jo Hoti Hai

Yeh Ghar Wo Ghar Nahi Rehta

Bana Hai Ghar Azaa Khana

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Mere Dehleez Par Deikho

Qatarein Ambiya Ki Hain

Adaen Kis Qadar Mujh Par

Sakina (s) Ke Chachha Ki Hain

Alam Deikha To Dil Bola

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bohat Tha Shoq Iss Dil Main

Mein Deikhu Roza Maula Ka

Khabar Thi Mere Maula Ko

Karam Mujh Par Hua Aisa

Ke Ek Din Khawab Main Deikha

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Haaye

Dar o Deewar Mehky Hain

Aqeedat Yeh Batati Hai

Kisi Hasti Ki Amad Hai

Khabar Khushbu Sunati Hai

Jise Tu Ghar Bulata tha

Sawari Uss Ki Aati Hai

Ujhala Ho Gya Har Soo

Giray Phr Ankh Se Ansu

Raha Naa Qalb Mn Qabu

Hussain

Lagy Ek Khawab Ke Jaisa

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bulaya Mein Ne Maula Ko

To Wo Tanha Nahi Aye

Kisi Ko Laaye Maqtil Se

Kisi Ko Shaam Se Laye

Aur Un Ke Sath Hain Zahra (s.a)

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Ajab Hai Kaifiyat Dil Ki

Khushi Hai Aur Hai Gham Bhi

Karon Main Shukr Ke Sajday

Musallay Par Hai Matam Bhi

Dhala Hai Shukr Mein Noha

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Kaha Farhan Ne Ro Kar

Likhi Kya Baat Mazhar Nay

Ajal Ka Jab Paigham Aya

To Main Bola Farishte Se

Abhi Mein Aa Nahi Sakta

Mere Ghar Maula Aey Hain

Bicha Hai Farsh Majlis Ka

Mere Ghar Maula Aey Hain

Haaaye

Ya Sayyed Mazloom

Lutay Ghar Ka Lo Pursa,, Husain (a.s)

Nezon Par Shaheedon Ke Har Ek Sar Ka Pursa

Ali Akbar (a.s) Ka Lo Pursa

Ghazi (a.s) Ka Lo Pursa

Ali Asghar (a.s) Ka Lo Pursa

Han Aoun O Muharram Ka Lo Qasim (a.s) Ka Lo Pursa

Kulsoom (s) Ka Zainab (s) Ka Sakina (s) Ka Lo Pursa

Khaimu Ka Lo Pursa

Lutti Chaddar Ka Lo Pursa

Bimaar Ka Pursa, Jhalay Bistr Ka Lo Pursa

Haaye Mere Maula Yeh Baray Ghar Ka Lo Pursa

Ya Mazloom Hussaina

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Piyase Hussaina

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Ghar Tera Luta Gya

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Kunba Bhi Piyasa Raha

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Har Khaima Jhal Gya

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Chin Gai Sab Ki Rida

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Rotey Hain Ahl e Azaa

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Matami Ghonjy Sada

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Ghar Ghar Hai Farsh E Azaa

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

Ghar Ghar Hai Farsh e Azaa Matmi Ghunjy Sada

Hussain (a) Hussain (a) Hussaina

- Advertisement -spot_img

More articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

CommentLuv badge
- Advertisement -spot_img

Latest article